E Logo
Tasmasha yaha har baar hota hai,
Aesa mera naan na karo logo,
Badi mushkil se tarasha ha un nigaho ko,
Unhe badnaam na karo logo,
Uski ruh tak hai Dard mere,
Yeh baat sare aam na kasro logo.
Murado ki chahat to khatam hui,
Ab unhe yaad karne ka kaam na karo logo.
Yahan ki basti to jalkar khhakh ho gai,
Der bahut ho gai, unhe pegaam na karo logo.
Intzaar me bahte hai aansoo,
Inhe bahne do, inka raashta jaam na karo logo.
Sabd bhi gum hue jinhe aawaaz dene ko,
Unke naam par koi kohraam na karo logo.
Khawahise Zinda hui jine dekhkar,
Saara dosh unhi ka, yeh elzaam na karo logo,
Kasoor to in ankhon ka bhi tha,
Khamoshi inka jahaan na karo logo.
Bashindo ko dard ki parwaah kahan thi,
Tum apni koshisho par armaan na karo logo.
In nigaho me kaha kami rah gai,
Hamari koshisho ka imtihaasn na lo logo.
Aaadat hai shayad unhe bhul jane ki,
Unka khayaal, is dil se gumnaam na karo logo.
Nitin Pareek